instagram se facebook kaise hataye | how to remove facebook id from instagram 2024 |Urdu Hindi

 instagram se facebook kaise hataye | how to remove facebook id from instagram 2024 |Urdu Hindi 


"Hello friends, aapka baigblog1 par swagat hai. Aaj main aapko Instagram Se Facebook Account Kaise Hataye ke bare mein poori jaankari doonga.


Dosto, aapko yeh toh pata hi hoga Instagram, Facebook aur Whatsapp yeh teeno ek hi company ke antargat aate hain.


Iska seedha sa arth yeh hai ki aap in teeno ko aapas mein integrate kar sakte ho.


Jaise – jab aap Facebook ke upar apna page create karte ho tab aapko Facebook ke upar WhatsApp ko jodna ka option milta hai.


Isi prakar jab aap Instagram ke upar apna account create karte ho tab aapko Instagram ko Facebook se jodne ka option milta hai.


Aap aasani se apne Facebook ki profile ko Instagram ke upar jod lete hain parantu jab aapko usko unlink karna chahte hain tab aapko bahut zyada dikat ka samna karna padta hai.


Aapka Facebook ko Instagram alag karne ke bahut sare karan ho sakte hain parantu proper jaankari nahin hone ki wajah se aap aisa nahin kar paate hain.


Parantu aapko bilkul bhi chinta nahin karni hai kyunki main aapke saath ek detailed tutorial share karne wala hoon.


Jisko padhne ke baad aap aasani se apne Instagram se Facebook ko unlink kar payenge."

Kya Instagram par Facebook account ko link karna chahiye?

Dosto, is question ka jawab aapki zarurat ke upar nirbhar hai.


Kehne ka matlab yeh hai ki agar aap aasani se kisi bhi platform ke upar apne account ko open karna chahte ho toh aapko Facebook ko link rakhna chahiye.


Iske alawa agar aap apni Instagram ki post ko Facebook ke upar ek click mein share karna chahte hain toh bhi aapko link karna chahiye.


Parantu agar aap apni privacy ko increase karna chahte hain aur apne dono account ko separate rakhna chahte hain toh aapko dono ko unlink kar dena chahiye.


Instagram account ko Facebook se kaise link Karen

Dosto, agar aap apne Instagram account ko link karna chahte hain toh aapko neeche diye gaye steps ko follow karna hoga:


1) Sabse pehle aapko apne phone mein Instagram app ko open karna hoga.

2) Home page mein aapko bottom mein profile ka option dikhayi dega, aapko iske upar click karna hai.

3) Ab aapke samne aapki profile aa jayegi, yahan par aapko top mein 3 dot ka option dikhayi dega.

4) Aapko 3 dot ke option par click karna hai aur Settings ke option par click kar dena hai.

5) Settings mein aapko Account ka option dikhayi dega, aapko iske upar click karna hai.

6) Accounts mein aapko Sharing to Others App ka option dikhayi dega, aapko iske upar click karna hai.

7) Ab aapke samne new page aayega, yahan par aapko Facebook ka option dikhayi dega.

8) Aapko Facebook ke upar click karna hai. Ab aapke samne new page aayega, yahan par aapki FB ki ID dikhayi degi.

9) Yahan par aapko bottom mein Continue ka option dikhayi dega, aapko iske upar click karna hai.

10) Next page mein aapko Yes, Finish Setup ka option dikhayi dega, aapko iske upar click karna hai.


Aapka FB account Instagram se jud jayega.

 Instagram se Facebook ko unlink kese Karen


Dosto, ab humne apne Facebook account ko Instagram account se jod liya hai.


Ab isko unlink kaise karna hai, woh mein aapko bataata hoon:


1) Sabse pehle aapko apne mobile phone mein Instagram app ko open karna hai.

2) Ab aapko apni profile photo par click karna hai. Profile mein aapko 3 dot ke option par click karna hai.

3) Yahan par aapko Settings ka option dikhayi dega, aapko iske upar click karna hai.

4) Settings mein aapko Account ke upar click karna hai aur Sharing to Other Apps ke upar click karna hai.

5) Sharing to Other Apps mein aapko aapke saare Social media platforms dikh jaayenge.

6) Yahan par aapko Facebook ke upar click karna hai. Ab aap Your Story and Post ke page par aa jaayenge.

7) Yahan par aapko bottom mein Account Centre ka option dikhayi dega, iske upar click karein.

8) Account Centre mein aapko Account aur Profile ka option dikhayi dega, iske upar click karein.

9) Account aur Profile mein aapko aapki Facebook profile dikh jaayegi, aapko iske upar click karna hai.

10) Yahan par aapko Remove Facebook From Account Centre ka option dikhayi dega, ispar click karein.

11) Ab aapke samne next page open hoga, yahan par aapko Continue ka option aayega, iske upar click karein.

12) Ab aapke samne Remove ka option aayega, iske upar click karein.


Aapka Facebook account automatically Instagram se unlink ho jaayega.

instagram se facebook kaise hataye | how to remove facebook id from




Comments

Popular posts from this blog

9 Passive Income Ideas 2022 | best and easiest home based job 2022

Quora Ads kya hai aur iska use kaise kare? | Quora What is ADS and how to deal with it? In Urdu Hindi

how to join daraz affiliate program In 2022