Seo friendly blog post kese likhen in 2024| How to write a seo friendly blog post in Urdu Hindi
Seo friendly blog post kese likhen in 2024| How to write a seo friendly blog post in Urdu Hindi
Hello dosto, aapka hamare blog par welcome hai. Aaj main aapko SEO friendly blog post kaise likhte hain Indian English mein ke baare mein batane ki koshish karunga.
Dosto, naye blogger ki sabse badi dikkat hoti hai unko samajh mein nahi aata hai ki blogging ki shuruaat kaise karein.
Vah is cheez mein confuse rahte hain ki content par focus karein ya SEO par, unko is questions ka answer paane ke liye 6 se 7 mahine lag jaate hain.
Parantu aaj ki post mein, main aapko sabhi cheez clear karne ki koshish karunga.
Aaj main bahut saare points cover karne ki koshish karunga.
Jaise ki beginning mein aapko content par jyaada focus karna chahiye ya SEO par, topic kahan se search karein aur content likhte samay kin baaton ka vishesh dhyan rakhna chahiye.
Dosto, SEO bahut badi term hai isko samajhne aur implement karne ke liye aapko lagaatar learning karte rahna hai.
Mere hisaab se continuous learning aur consistency, success ki bahut badi key hai.
Aap in dono mein taal-mel bana ke rakhein, aapko 100% future mein benefits hoga.
Chaliye ab hum aaj ka topic SEO friendly blog post kaise likhte hain, wah seekhne ki koshish karte hain.
Beginning mein kis par jyaada focus karein (SEO VS CONTENT) –
Dosto, maine jitna experience kiya hai uske according hame shuru mein 6 se 7 mahine tak content ki quality par focus karna chahiye.
Dekho, aapne apna blog user oriented banaya hai toh aapko pehle user ko dekh kar content likhna chahiye.
Jitna jyaada user ko aapke content se fayda pohchega, utna hi aapke blog ko fayda milega.
User jitna samay blog par bitayega, utna hi aapke blog ki authority aur authenticity badhegi.
Jisse aapke blog ka SEO automatically ho jayega.
Jab aapke blog par audience aur Google ko trust ho jayega.
Tab aapko competitive keywords par focus karna hai aur competition ko beat karne ke liye aapko SEO par jyaada focus karna hai.
Dosto, main aapse ek baat aur kahunga ki shuru mein content quality ke saath saath aapko Onpage SEO par thoda focus karna chahiye.
Kyonki on-page SEO Google ko aapka article samjhane aur rank karvane mein help karta hai.
Blog topic kahan se search karein –
Dosto, yeh mere liye sabse important cheez hai kyunke aapka topic hi aapke blog par kitne visitors aayenge yeh decide karta hai.
Ab sawal aata hai ki hum blog topic kaise search karein.
Dosto, aapne bahut saare blogs aur YouTube videos dekhi hogi jahan par keyword research tools ke baare mein bataya jaata hai.
Parantu beginners ko main yeh tools suggest nahi karunga kyunke shuru mein aapke blog ki authority nahi hoti hai toh aapka post rank nahi karega.
Isliye aapko shuru mein fresh topic ke upar zyaada se zyaada content likhna chahiye.
Fresh content pata karne ke liye aapko social media aur latest news se zyaada updated rehna hoga.
Kyunke in dono platform se aapko fresh aur new content mil sakta hai.
Agar aapko phir bhi fresh content nahi mil raha hai toh aap Google ke khud ke Product Question Hub ka istemal kar sakte hain.
Yeh bahut hi zyada amazing tool hai jahan se aapko bahut saare questions ke idea mil jaayenge.
Aapko in questions ke jawab dene hai. Dheere dheere aapke paas traffic aane lag jaayega.
SEO Friendly Blog Post kaise Likhe –
Dosto, Hindi blog ke liye SEO friendly post kaise likhte hain, main pehle hi cover kar chuka hoon.
Hindi aur English dono par SEO karne ka method ek jaisa hai.
Main aapko key points detail mein bata deta hoon.
1) Sabse pehle aapko apne Title par focus karna chahiye, aapke title mein aapka main keyword zaroor hona chahiye.
2) Ab aapko apne permalink par focus karna hai, aapke permalink mein bhi aapka main keyword hona chahiye.
3) Meta Description karib 150 words ka likhe jisme aapka main keyword hona zaroori hai.
4) Aapko apne post ke liye relevant tags ka upyog karna chahiye.
5) Aapko apna post likhne ke liye low competition ka keyword use karna chahiye.
6) Aapko H1, H2, H3 mein LSI keywords ka use karna chahiye.
7) Post ki paragraph length 300 words se zyada nahi honi chahiye.
8) Aapka main keyword, post ke first 100 words mein hona chahiye aur last paragraph mein hona chahiye.
9) Aapko apne images ke andar apna main keyword rakhna hai.
10) Aapko apni post mein keyword stuffing nahi karni hai.
Dosto, mere hisaab se aapko on-page SEO ke liye in baaton ka vishesh dhyan rakhna chahiye.
Off-page SEO kab shuru karna chahiye –
Dosto, jaisa ki maine aapko pehle hi bataya hai off-page SEO ka matlab backlinks banana hi nahi balki social sites par sharing bhi hota hai.
Aapko social sites par sharing to shuru se hi kar deni chahiye, kyunke social sites se aapke blog par traffic aayega toh woh achha signal maana jaata hai.
Google aapki website ke social signals ko track karta hai agar aapki website par social traffic aayega to Google ka aapki website par trust increase hoga.
Backlinks aapko shuru mein nahi balki blog banane ke 5 se 6 mahine baad banana chahiye.
Shuru mein aapko sirf quality content par focus karna hai.
Seo Friendly Blog Post likhte samay kya dhyan de –
1) Keyword Research par dhyan de –
Dosto, aapko Keyword Research par vishesh dhyan dena hai. Agar aap Keyword Research nahi karenge toh aapka blog query par rank nahi karega aur aapke paas traffic nahi aayega.
Isliye SEO friendly blog post likhte samay aapko Keyword Research bahut jyada dhyan se karni hai.
Aapko hamesha Low Competition with High Volume ka Keyword find karna hai taaki aapka blog rank bhi kare saath mein traffic bhi laaye.
2) Paragraph ki Length –
Dosto, ek blog writing mein paragraph ki lambai bahut jyada matter karti hai.
Kyunki agar aap lamba paragraph likhenge toh user ka aapke post mein interest kam banega aur woh beech mein hi post chhod ke chala jaayega.
Isse aapka bounce rate badh sakta hai aur aapki Google ke upar ranking gir jaayegi.
Isliye aapko hamesha ek ya 2 lines se zyada bada paragraph nahi upyog karna chahiye.
3) Keyword Density –
Dosto, Keyword Density bhi bahut jyada matter karti hai aapke blog post ke liye.
Aapko adhik keywords apne post mein stuff nahi karna chahiye. Isse aapki ranking improve hone ki vajayae kharab ho jaayegi.
Jyada keyword stuffing karne se Google aapki post ko spam samjhega aur use search result se remove kar dega.
Isliye aapko apni post ki length ke anusar keyword use karna chahiye.
Jaise 1000 words ki post mein 3 baar keyword upyog kar sakte hain.
4) Post ki Length –
Dosto, post ki lambai bhi SEO ke liye bahut jyada matter karti hai. Aapko hamesha apne competitor se zyada words likhne hai.
Parantu yaad rahe post ki lambai badhane ke chakkar mein aap value ke saath compromise nahi kare.
Aapko audience ki value ko barkarar rakhkar post ki length badhana hai.
5) Image Optimisation –
Dosto, aapko Image Optimisation par bhi focus karna hai. Kyunki Google mein images bhi rank karti hai.
Images ke madhyam se bhi aapke blog ke upar traffic aane lagta hai.
Image Optimisation mein aapko image ka URL, Alt Text, Title, Description aur Caption sabhi mein apna focus keyword use karna hai.
6) Blog mein Internal aur External Linking jarur kare –
Dosto, agar aap apne blog ko Google ki top position mein rank karte dekhna chahte hain toh aapko Internal aur External Linking karna hoga.
Aapko apne blog ke ranked post ke saath vah post link karna hai jo abhi tak rank nahi hue hai.
Isse aapke nahi rank hone wale post bhi rank hone lag jaayenge.
Isliye Internal aur External Linking ko SEO ka important hissa maana gaya hai.
7) Keyword Placement par dhyan de –
Dosto, yeh SEO friendly article likhte samay aapko vishesh roop se dhyan dena hai.
Keyword ko aapko mukhya place par zaroor lagana hai kyunki Google bot in places ke madhyam se yeh pata lagata hai ki aapka article kis keyword par optimize hai.
Isliye aapko Title, First Paragraph, Last Paragraph, URL, Search Description, Images, Mid Paragraph aur Last Paragraph mein apna keyword zaroor rakhna chahiye.
8) Attractive Article Title likhe –
Dosto, aapko apne blog ke title ke upar kaafi mehnat karni hogi. Kahne ka matlab hai aapko apne blog ke title ko clickable banana hai.
Aapko kuch aise shabdo ke upyog karne honge jisse zyada se zyada click aapki post ke upar aaye.
Aapko apne title ke andar apna main keyword bhi rakhna hai.
9) Heading aur Subheading ko bhi acche se Optimize kare –
Dosto, iska arth hai aapko apne article ke andar acche se heading aur subheading likhni hai.
Aapko apne heading aur subheading mein apne keywords ke synonyms ka upyog karna hai.
10) Meta Description ko acche se Optimize kare –
Aapko apne meta description mein 150 shabdo ka upyog karna hai aur apne meta mein mukhya keyword ko rakhna hai.
Aapka meta aapke blog ka poora detail deta hai aapko kuch is tarah apna meta description likhna hai.
11) Keyphrase ki lambai –
Dosto, jitne bhi bade SEO tools hain vah yeh recommend karte hain ki aapko apne post mein 6 words ka keyword use karna hai.
Agar aap isse adhik lambai ka keyword use karte hain vah post ke SEO ke liye accha nahi hota hai.
12) Related Keyword ka upyog kare –
Dosto, related keyword se arth hai vah keyword jo aapke main keyword ka synonym hota hai.
Aisa maana jaata hai agar aap apne post mein related keyword ka upyog karte hain toh aapka post rank karta hai aur yeh aapke blog ke SEO ke liye kaafi accha hota hai.
Final words on SEO Friendly Blog Post Kaise Likhte hai in Indian English-
Dosto, asha hai ki aapko aaj ka article SEO Friendly Blog Post Kaise Likhte hai in Indian English pasand aaya hoga.
Aapka blog Hindi mein ho ya Indian English, SEO karne ka ek proper technique hoti hai jo maine aapko upar bata di hai.
Dosto, ek baat aur apne Onpage SEO kar liya hai aur ab soch rahe hain ki meri website kal se hi Google par rank karne lag jayegi.
Google par aisa nahi hota hai, Google kuch samay leta hai aapki website ko samajhne mein uske baad hi vah post ko rank karvata hai.
Aapki website ki age bhi ek factor hai jiske upar aapki ranking depend karti hai.
Umeed hai, aapko aaj kuch seekhne ko mila hoga.
Seo friendly blog post kese likhen in 2024
Comments
Post a Comment